Ujaar Lamhon Ki Dastanain
Ujaar lamhon ki dastanain jo tum kaho to sunain tum ko
Buht sa hum jagte rahe hain chalo zara sa jagain tum ko
Tum hi ho jo roshni si ban ker hamari aankhon mein aa bassi ho
Jab apni aankhain hi keh dia hai toa phir bhala kyu rulain tum ko
Gubar aalud raston mein talash kar kar kay thak gaye hain
Kahan pe ja kay basse hoye ho kahan se hum dhund lain tum ko
Tumhain to sukh aa gaye mayyasar tumhain to hum yaad hi nahi hain
Magar ye batao kay hum jo chahain to kis tarah bhulain tum ko
Kaho kay “JAZIB” yeh jhoot hain na kay tum ne usko bhula dia hai
Abhi talak jis ki shokh yaadein har ek lamhe satayain tum ko.
By BEHZAD JAZIB
Related Ghazals
If you enjoyed this post, please consider to leave a comment or subscribe to the feed and get future articles delivered to your feed reader.
Comments
No comments yet.
Leave a comment