Sad Ghazals

Dil Ka Dard

Meri zindagi aaj ek kahani kah nikli
ankhon se boondoon ke nadyan bah nikli

aaj zindagi ka safa kali siyahi se hai likha
kiya aur koi imtehan zindagi ka hai rakha

jo kabhi na socha tha aaj woh ho para
ghut ghut ke har lamha aaj mein marta raha

kash ye sab kuch jooth hota
mein aaj ke har lamhoon mein unke kareeb hota

pal bhar mein lagta hai sab ho gaya khatam
ai khuda kar de mujhpar thori se raham

sans leta hoon har sans mein unki yaad aati hai
bas yaad hi hai jo ab unko mujse jor jati hai.

by Atif Oquaish


KHALWAT

Tamam umar khalwat(tanhai) mein guzar gai
hairaan hoon sirf uski tamanna me kaise ji liya maine

Uski sab yaado ko tarak (bhoola diya) kar diya maine
aaj kaise use sochkar jaam pi liya maine

Dard-mande-dile-nasuboor (dil ke dara ko samajhne wala) koi na mila
Teri saaje-aarzoo(Abhilasha ka saaz) ke saroor me ji liya maine

Is deh-marahala (afsar) ki talaash me tha arse se
tujhe kurab (nazdeek) paakar kyun honthon ko see liya maine

Tere lamas(saparsh) ko tarsa kiye umarbhar
teri deed (darshan) ki shaadmaani (khushi) me ji liya maine

Irshad Rahbar


Aaj Na Jane Kyun

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya,
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya.
Duniya ki is bhag daud me kho chuka the riste sab,
Aaj phir un riston ko ek sire se sanjone ka mann kiya.
Kisi din kisi bheed me dekhi thi kisi ki ankhen,
Aaj fir un ankhon me khone ka mann kiya.
Roj sapno se baatein karta tha main,
Aaj na jane kyun unse muh modne ka man kiya.
Jhooth bolta hoon apne aap se roj main,
Aaj na jane kyun khud se ek sach bolne ka mann kiya.
Dil todta hoon sab ka apni baaton se main,
Aaj na jane kyun ek toota hua dil jodne ka mann kia..
aaj naa jane kyun rone ka mann kiya,
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya.

by Saurabh Pandey


Jise Samaj Na Paya

haste bhi rahe, rote bhi rahe , yeh jindgi bhi albeliu hai
jise samaj na paya hu abtak, mera jeevan ek paheli hai.

tum kya usko suljaoge, jisko ke main kud suljha na saka
chalta hi raha rste pe shi, phir bhi manjil ko pa na saka
taqkdir ne mujse daga kiya, kismat koi khel to kheli hai
jise samaj na paya ……………………..

gairo se kare kya shikwa koi, apno ne dil ko toda hai
jab thi apno ki jarurt muje, tb tb muje tanha chora hai
ab maut na yarro aayegi ,ye khele aankh micholi hai
jise samaj na paya……………………

duniya ne dhoke lakh diye, main phir bhi use sehta hi gaya
jab tod diya tune dil ko, main such kehta hu ji na saka
jo khel tha khela duniya ne, tu bhi wahi khel to kheli hai
jise samaj na paya……………………..

by Vikas Vig


Bhadak Rahi Hai Aag Si

Bhadak rahi hai aag si hawaaon mein
sulag raha hu baadalo ke chaaon mein
bahaar mujh se chinn gayi mujhe bahaar chaaiye
muJhe sukoon chaahiye mujhe karaarn chaahiye

kisi ke dillagi ko pyaar jaanke
main lut gaya hoon dil ki baat maanke
na mujhko chaahiye wafa na mujhko pyaar chaaiye
muJhe sukoon chaahiye muJhe karaam chaahiye

na jaane kab ye dil ka dard jaayega
rahoonga hosh main to gham sataayega
mere liye to raat din bas ik khumaar chaaiye
mujhe sukoon chaahiye mujhe karaarn chaahiye

tadap na mere dil kisi ki aas mein
hazaar talkhiyaaN hai teri pyaas mein
tuJhe to saari zindagi ka intezaar chaaiye
muJhe sukoon chaahiye muJhe karaarn chaahiye


Ik Husn Ki Dewi Se

Ik husn ki dewi se mujhe pyaar hua thaa
dil uski mohaabat main giraftaar hua thaa

wo roop ke jis roop se kaliyan bhi lajaayen
wo julf ke jis julf se sharmaaye ghataayen
maikhane-e-nigaahon pe adaaon ke taraane
de daale muJhe usne mohabbat ke khazaane
haan aisi hi ik raat thi aisa hi shama tha
ye chaand bhi poora thaa jamana bhi jawaan tha
ik ped ke saaye main jab ikraar hua thaa

kashmir ki waadi ke wo purnaikh nazaare
lamhaat mohaabt ke jahan humne guzaare
angdai na lekar meri baahon ke sahaare
gulnaar nazar aati thi wo sharm ke maare
ek tarafa na the husn-o-mohabbat ke ishaare
usne bhi kai baar mere baal sanwaare
ehsaas ka jazbaat ka izhaar hua thaa

kuch roz kate yoon hi bura waqt jab aaya
us husn ki dewi ne bhi nazro ko firaaya
kurbat ne zamaane ke nighaahon se giraaya
aachal mere haathon se mohaabat ne chudaaya
ik raat ko usne mujhe sota hua choda
chal di wo kahin pyaar ko rota hua choda
soya hua main neend se jaaga jo sawere
wo jab na mili chaa gaye aankhoN meiN andhere
taqdir kisi ko bhi bure din na dikhaaye
hote hain bure waqt main apne bhi paraaye
kya pyaar ki daulat ka talabdaar hua thaa