Heart Touching Ghazals
Aainda-E-Lamha
Juda hai rahgujar (rasta) thodi door saath chalo
bahut tanha hai safar thodi door saath chalo
Fir kabhi mulakaat na hogi
ye ilam (pata hona) mujhe bhi magar thodi door saath chalo
Gumsum hoon main bhi khamosh ho tum bhi
dil bahal jaaye agar thodi door saath chalo
Chand lamhon ki mulakaat hi bahut hai nadeem (dost)
aainda-e-lamha (aane wala pal ) ki kise khabar thodi door saath chalo
Shab (raat) me tanha safer aur bhi mushkil
bas hone do sahar (subha) thodi door saath chalo..
by Irshad Rahbar
Meri Chahat Ke Phoolon Ko
Meri Chahat Ke Phoolon Ko Kabhi Ruswaa Nahi Karna,
Meri Takmeel Tumse Hai Mujhe Tanhare Nahi Karna,
Main Jee Nahi Paon Ga Ek Pal Be Tumare Bin,
Mujhe Khud Se Kabhi Janaa Judaa Nahi Karna…
by Nargis Khalid
Phir Saawan Rut Ki Pawan Chali
Phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye
Phir patton ki paajeb baji tum yaad aaye
Phir kuunjein bolin ghaas ke hare samundar mein
Rut aai pile phuulon ki tum yaad aaye
Pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga
Baadal garaja bijali chamaki tum yaad aaye
Phir kaaga bola ghar ke suune aangan mein
Phir amrrit ras ki buund padi tum yaad aaye
Din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha
Jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye
Bagon Main Paray Jhoolay
Baagon mein pade jhoole
Tum bhool gaye hamako ham tumako nahi bhoole
YeH raks sitaaron ka
Sun lo kabhi afsaana taqdeer ke maaron ka
Saawan ka maheena hai
Saajan se juda rah kar jeena bhi kya jeena hai
Raavi ka kinaara hai
Har mauj ke honthon par afsaana hamaara hai
Ab aur na tadapaao
Ya hamako bula bhejo ya aap chale aao
Zindagi Mein To Sabhi
Zindagi main to sabhi pyaar kiya karte hain
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga
Yu mila hai to ehsaas hua hai mujhko
ye meri umar mohabbat ke liye thodi hai
ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar
maine wo saans bhi tere liye rakh chodi hai
tujhpe ho jaaoonga qurbaan tujhe chahunga
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahunga
Apne jazbaat main nagmaat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil main basaya hai tujhe
main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karu
maine kismat ki lakiro se churaaya hai tujhe
pyaar ka ban ke nigehbaan tujhe chahuga
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahunga
Mujhe Tum Nazar Se
Mujhe Tum Nazar Se gira to rahe ho
Mujhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
na jaane muJhe kyoon yakin ho chala hai
mere pyaar ko tum mitaa na sakoge
Meri yaad hogi jidhar jaaoge tum
Kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
tadapta muJhe har taraf paaoge tum
shama jo jalaayi hai meri wafa ne
bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge
Kabhi naam baatoN meiN aaya jo mera
Toa bechain ho hoke dil thaam loge
Toa bechain ho hoke dil thaam loge
Nigahoan mein chaayega gham ka andhera
kissi ne jo poocha sabab-a-subooN ka
bataana bhi chaaho bata na sakoge
Aaisa Nahi Karna
Kissi ki aas ban kar phir isse tanha nahi karna
Bhala kuch bhi pare karna magar aaisa nahi karna
Khabar kia kiss Gharri woh Raakh Kar Daaley Tere Sapne
Yun hi jalte shararon se kabhi khela nahi karna
Na ho aisa ke yadein Rooh ka Sartan ban jaye
Kabhi Had Say Zyada Tum usay Socha Nahi Karna
Mohabbat Mein Shikayat Ka Kahan Dastoor Hota Hai
Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Karna
Wafaein Dar Haqeeqat Be-panah Anmol Hoti Hain
Kabhi Apni Wafaon Ka Silaa Maanga Nahin Karna
Kahin Aisa Na Ho Woh Apni Manzil Ka Nishan Kho Dey
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Karna …..!
Ujaar Lamhon Ki Dastanain
Ujaar lamhon ki dastanain jo tum kaho to sunain tum ko
Buht sa hum jagte rahe hain chalo zara sa jagain tum ko
Tum hi ho jo roshni si ban ker hamari aankhon mein aa bassi ho
Jab apni aankhain hi keh dia hai toa phir bhala kyu rulain tum ko
Gubar aalud raston mein talash kar kar kay thak gaye hain
Kahan pe ja kay basse hoye ho kahan se hum dhund lain tum ko
Tumhain to sukh aa gaye mayyasar tumhain to hum yaad hi nahi hain
Magar ye batao kay hum jo chahain to kis tarah bhulain tum ko
Kaho kay “JAZIB” yeh jhoot hain na kay tum ne usko bhula dia hai
Abhi talak jis ki shokh yaadein har ek lamhe satayain tum ko.
By BEHZAD JAZIB