Ik Husn Ki Dewi Se
Ik husn ki dewi se mujhe pyaar hua thaa
dil uski mohaabat main giraftaar hua thaa
wo roop ke jis roop se kaliyan bhi lajaayen
wo julf ke jis julf se sharmaaye ghataayen
maikhane-e-nigaahon pe adaaon ke taraane
de daale muJhe usne mohabbat ke khazaane
haan aisi hi ik raat thi aisa hi shama tha
ye chaand bhi poora thaa jamana bhi jawaan tha
ik ped ke saaye main jab ikraar hua thaa
kashmir ki waadi ke wo purnaikh nazaare
lamhaat mohaabt ke jahan humne guzaare
angdai na lekar meri baahon ke sahaare
gulnaar nazar aati thi wo sharm ke maare
ek tarafa na the husn-o-mohabbat ke ishaare
usne bhi kai baar mere baal sanwaare
ehsaas ka jazbaat ka izhaar hua thaa
kuch roz kate yoon hi bura waqt jab aaya
us husn ki dewi ne bhi nazro ko firaaya
kurbat ne zamaane ke nighaahon se giraaya
aachal mere haathon se mohaabat ne chudaaya
ik raat ko usne mujhe sota hua choda
chal di wo kahin pyaar ko rota hua choda
soya hua main neend se jaaga jo sawere
wo jab na mili chaa gaye aankhoN meiN andhere
taqdir kisi ko bhi bure din na dikhaaye
hote hain bure waqt main apne bhi paraaye
kya pyaar ki daulat ka talabdaar hua thaa
Tere Bheege Badan Ki
Tere bheege badan ki khooshboo se
Lehre bhi huyee mastaani si
teri zulf ko chookar aaj huyee
khaamosh hawa diwaani si
Yeh roop ka kundan dehka hua
yeh zism ka chandan mehka hua
ilzaam na dena fir mujhko
ho jaaye agar naadani si
Bikhra hua kaajal aankhon main
toofaan ki halchal saanson main
ye naram laboan ki khamoshi
palko main chupi hairaani si
Zindagi Mein To Sabhi
Zindagi main to sabhi pyaar kiya karte hain
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga
Yu mila hai to ehsaas hua hai mujhko
ye meri umar mohabbat ke liye thodi hai
ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar
maine wo saans bhi tere liye rakh chodi hai
tujhpe ho jaaoonga qurbaan tujhe chahunga
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahunga
Apne jazbaat main nagmaat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil main basaya hai tujhe
main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karu
maine kismat ki lakiro se churaaya hai tujhe
pyaar ka ban ke nigehbaan tujhe chahuga
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahunga