Awargi


Phir Saawan Rut Ki Pawan Chali

Phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye
Phir patton ki paajeb baji tum yaad aaye

Phir kuunjein bolin ghaas ke hare samundar mein
Rut aai pile phuulon ki tum yaad aaye

Pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga
Baadal garaja bijali chamaki tum yaad aaye

Phir kaaga bola ghar ke suune aangan mein
Phir amrrit ras ki buund padi tum yaad aaye

Din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha
Jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye


Bagon Main Paray Jhoolay

Baagon mein pade jhoole
Tum bhool gaye hamako ham tumako nahi bhoole

YeH raks sitaaron ka
Sun lo kabhi afsaana taqdeer ke maaron ka

Saawan ka maheena hai
Saajan se juda rah kar jeena bhi kya jeena hai

Raavi ka kinaara hai
Har mauj ke honthon par afsaana hamaara hai

Ab aur na tadapaao
Ya hamako bula bhejo ya aap chale aao


Yeh Dil

Yeh dil yeh pagal dil mera kyu bujh gaya aawargi
iss dasht mein ik shahar tha vo kya hua aawargi

kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi

ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara ki bheegi ret par main ne likha aawargi

loagon ko bhala us shehar kaise jeyain hum jahan ho jurm tanha sochna lekin saza awargi

ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara ki bheegi rait par main ne likha aawargi

kal ratt tanha chand ko dekha tha main ne khuab main
mohsin mujhay rass aye gi shayad sada aawargi


Chupke Chupke Raat Din

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Khench le na voh mera parde ka kona daffatan
Khench le na voh mera parde ka kona daffatan
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye
Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye
Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai