Bhadak Rahi Hai Aag Si
Bhadak rahi hai aag si hawaaon mein
sulag raha hu baadalo ke chaaon mein
bahaar mujh se chinn gayi mujhe bahaar chaaiye
muJhe sukoon chaahiye mujhe karaarn chaahiye
kisi ke dillagi ko pyaar jaanke
main lut gaya hoon dil ki baat maanke
na mujhko chaahiye wafa na mujhko pyaar chaaiye
muJhe sukoon chaahiye muJhe karaam chaahiye
na jaane kab ye dil ka dard jaayega
rahoonga hosh main to gham sataayega
mere liye to raat din bas ik khumaar chaaiye
mujhe sukoon chaahiye mujhe karaarn chaahiye
tadap na mere dil kisi ki aas mein
hazaar talkhiyaaN hai teri pyaas mein
tuJhe to saari zindagi ka intezaar chaaiye
muJhe sukoon chaahiye muJhe karaarn chaahiye
Yun Zindagi Ki Raah
Yun zindagi ki raah main takra gaya koi
ik roshni andhero mein bikhra gaya koi
woh haadsa, woh pehli mulaakat kyaa kahoon
itni ajab thi soorat haalat kya kahoon
wo kehar wo gazab wo jafa mujko yaad hai
wo uski berukhi ki adaa mujhko yaad hai
mittha nahin hai zehan pe yun chaa gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi
Pehle mujhe wo dekhke barham si ho gayee
fir apne hi haseen khayalo main kho gayee
bechargi pe meri usse reham aa gaya
shaayad mere tadapne ka andaaz bhaa gaya
saanso se bhi kareeb mere aa gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi
yoon usne pyaar se meri baaho ko chu liya
manzil ne jaise shaakh ke raahon ko chu liya
ik pal main dil pe kaise qayamt guzar gayi
rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi
zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi
ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye
benaam aarzoo ki lazzat na poochiye
ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya
ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya
manzil ka raasta mujhe dikhla gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi
Tere Bheege Badan Ki
Tere bheege badan ki khooshboo se
Lehre bhi huyee mastaani si
teri zulf ko chookar aaj huyee
khaamosh hawa diwaani si
Yeh roop ka kundan dehka hua
yeh zism ka chandan mehka hua
ilzaam na dena fir mujhko
ho jaaye agar naadani si
Bikhra hua kaajal aankhon main
toofaan ki halchal saanson main
ye naram laboan ki khamoshi
palko main chupi hairaani si
Zindagi Mein To Sabhi
Zindagi main to sabhi pyaar kiya karte hain
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahoonga
Yu mila hai to ehsaas hua hai mujhko
ye meri umar mohabbat ke liye thodi hai
ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar
maine wo saans bhi tere liye rakh chodi hai
tujhpe ho jaaoonga qurbaan tujhe chahunga
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahunga
Apne jazbaat main nagmaat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil main basaya hai tujhe
main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karu
maine kismat ki lakiro se churaaya hai tujhe
pyaar ka ban ke nigehbaan tujhe chahuga
main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahunga